Tuesday, October 24, 2006
Saahil
Vaastavikta ki hadon se door
Kalpana ke paas
Hawa mein ghulte ko sheeshe ka ehsaas
Chalakte rangon mein dhalta din
Nisha ke aahton par sisakti shaam
Lamhon ke saagar mein ubharti doobti parchaaien
Achal samvednaon par lakeerien gehraaien
Kisi ajnabee adrishya sparsh par muskurate adhar
Thamne sa lagta hai shabdon ka asar
aankhon mein bhi kshitij door kahin
Tabhi pyaasa hriday mrigtrishna mein keh uthta hai
Kahin yeh shama saahil ki to nahin.......
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment