Wednesday, October 25, 2006
Kaal ke kapaal ke do shabd.....
Namashkaar........main andhkaar hoon.Is manch ka andhkaar ... Jab main aap sabke saamne aata hoon to prakash dheere dheer kshina hone lagta hai.Main dheere dheere aapki taraf badhta hoon.Aap apni aankhien bheench lete hain.Fir,, aankhien band aur mere paar aapko kuch nahi dikhta ....kyunki main kaala hoon ...bilkul kaala .....kauua,kaajal, raakh,koela,takshak,raat ke samaan kaala yaa fir.......... kaam,krodh,dwesh,lobh,jhooth ke samaan kaala.......... yaa fir.........yaa fir main kaal ke samaan kaala bhi ho sakta hoon.
Kehte hain ki koi bhi jeev jab paida hota hai to bramha apni ungliyon se uske kapaal par do shabd likhte hian.aur us samay parampitaah ki aankhien band hoti hain.Unhe bhi nahi ehsaas hota ki woh kyaa likh rahe hain.kabhi kabhi to woh swayam bhi apne likhe do shabdon par afsos karne lagte hain. Par niyati ke haathon vivash kuch naa kar paate hain.Band aaankhon se likhe woh do shabd hi us jeeva ka prarabdha nirdharit karte hain.Jeevan bhar hi nahi apitu jeevan ke paschaat bhi woh do shabd hi uska bhagya sanwarte aur bigaadte hain. (Pause) (thodi si muskurahat)....kabhi kabhi main baithe baithe sochta hoon ki kaal ke kapaaal pe likhe woh do shabd kaun se honge.
Kaal jo sarvavyaapi hai, kaal jo nishthur hai,kaal jo bade hi nirdayita se shareer se sabhi bhawnaon ko choora leta hai,shareer ko shithil kar deta hai aur dheere dheere ek aakhiri vedana shareer mein bhar kar shareer ko nishpraan kar deta hai.Thik waise hi jaise ek titli fool mein apna dank ghoosa kar uska saara ras choos leti hai.Bas antar itna hota hai ki kaal titli ke samaan sundar nahi hota kaal kaaala hota hai ...bilkul kaala ...kauua,kaajal,raakh,koela,takshak,raat ke samaan kaala yaa fir kaam,krodh,dwesh,lobh,jhooth ke samaan kaala..........Ek baar fir aap apni aankhien bheench lete hain aur aapko kuch nahi dikhta.Kuch bhi nahi............
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment